Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hy Teri zulfo ka ye badal bara anmol lagta hy

Teri ankhon ka ye kajal
bara anmol lagta hy
Teri zulfo ka ye badal
bara anmol lagta hy

Bara masoom sa hy ye
tere chehre ka bhola
pan Tera wo shok
chanchal dil bara anmol
lagta hy

Tere pairon ki wo payal
tere hathon ka wo
kangan Wo jhumka tere
kaano ka bara anmol
lagta hy

Jo milty ho mujhse
rahon mn to diljhoom
uthta hy, Zara se sath
ka wo pal bara anmol
lagta hy

Wo kaghaz pe tera
naam likhna or mita
dena Mujhy ye khud ka
pagal pan bara anmol
lagta hy.

Jisse Meri Har Subha Roshan Hoti Hai

Jisse Meri Har Subha Roshan Hoti Hai
Suraj ki Wo Pehli Kiran Hai Tu

Jisse Mere Pyaase Dil ko Raahat Milti Hai
Baarish Ki Wo Pehli Boond Hai Tu

Jisse Mere Zindagi Ki Thakaan Door Hoti Hai
Peepal Ki Wo Thandi Chaon Hai Tu

Jise Dekh Main Zindagi Ke Safar Pe Chal Raha Hoon
Meri Wo Pehli Aur Aakhri Manzil Hai Tu

Tere He Hone Se Tou Meri Saanse Chalti Hain
Tu Meri Zindagi Hai, Meri Mohabbat Hai Tu.

Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai

Ek Chehra Jo Mere Khwaab Sajaa Deta Hai
Mujh Ko Mere He Khayalon Mein Sadaa Deta Hai

Wo Mera Kon Hai Maloom Nahn Hai Laikin
Jub Bhi Milta Hai To Pehlu Mein Jaga Deta Hai

Main Jo Andar Sy Kubhi Toot Ke Bikhruun
Wo Mujh Ko Thaamnay K Lye Haath Barha Deta Hai

Main Jo Tanha Kubhi Chupkay Se Bhi Rona Chaahun
Tou Dil Ke Darwaazay Ki Zanjeer Hila Deta Hai

Os Ki Qurbat Mein Hai Kya Baat Na Jaanay “Mohsin”
Ek Lamhay K Lye Sadiyon Ko Bhula Deta Hai.

Awal sitam rusto wafa kawi yaar

Awal sitam rusto wafa kawi yaar
Oki khere no bya dua kawi yaar

Pa bado stargo rata gori awal
Che rusto goram bya ada kawi yaar

Kala tanday ki rata ghotay ghotay
Kala narai narai khanda kawi yaar

Ghamona raki khanda sa v zama
Sa ajeba gunde soda kawi yaar.

Koi aisa b to howa kry

Koi aisa b to howa kry
Meri dharkanon ko suna kry

Main yeh zindagi us pe war doon
Jo khloos-e-dil se wafa kary

Mere karb ko wo smjh sake
Mere dard ki wo dawa kry

Mujhe us k ishq pe naaz ho
Wo talab me meri raha kry

Meri LAAJ uska GHUROOR ho
Meri aabroo ka difa kry

Karhy mosamon k azaab me
wo bahaar bn k mila kry

Jo zubaan meri khamosh ho
To jhank dil me lia kry

Mera DUKH us ka b DARD ho
Mere sath wo b jala kry.

Us Ka Toota Hua Harf Sard Aah Mein Hai

Us Ka Toota Hua Harf Sard Aah Mein Hai
Teri Judai Ka Manzar Abhi Nigaah Mein Hai

Tere Badalnay K Ba-Wajood Tujh Ko Chaaha Hai
Ye Aitraaf Bhi Shamil Mere Gunaah Mein Hai

Azaab Day Ga To Phir Mujh Ko Khuwaab Bhi Day Ga
Main Mutma'in Hoon Mera Dil Teri Panaah Mein Hai

Jisay Baahar K Mehmaan Khaali Chorrh Aaye
Wo Ik Makaan Abhi Tak Makeen Ki Chaah Mein Hai

Ye Hi Wo Din Thay Jab ik Doosray Ko Paya Tha
Humaari Saalgirah Theek Ab K Maah Mein Hai

Main Bach Bhi Jaon To Tanhai Maar Daley Gi
Mere Qabeelay Ka Har Fard, Qatal_Gaah Mein Hai.

Yehi Surkhi Jo Hay Terey Lab-e-Rukhsaar Pe Janaan

Yehi Surkhi Jo Hay Terey Lab-e-Rukhsaar Pe Janaan
Yehi Rang-e-Sukhan Bharr Dey Mery Ashaar Me Janaan

Niraali Shaan Sey Aaoon Ga Sub Hairat Sey Dekhen Gey
Libaas-e-Ishq Pehnoon Ga Tery Darbaar Me Janaan

Mery Dil Ki Yeh Kefiyat Khuley Tum Pey To Kia Kehney
Takalluf Hai Humain Jazbaat Ke Izhaar Me Janaan

Yeh Taareeki Ghatey Kesey, Shab-e-Furqat Katey Kesey
Sehar To So Gai Shayd terey Rukhsaar me jaana.

Suna Hai Chaand Niklay Ga

Suna Hai Chaand Niklay Ga
Suna Hai Eid Bhi Ho Gi

Hamein To Aasman Per Door Tak
Kuch Bhi Nahi Dikhta

Kahan Wo Chaand Niklay Ga

K Jis k Waastay Hum Nay
Kabhi Palkei'n Nahi Jhapkin

Wo Jis Ka Rasta Taktay
Hai Guzri Zindagi Apni

Nahi Kuch Bhi Khabar K Wo
Nikley Ga to Kab Aakhir

Hamari Muntazir Aankhon Ko
Uss Ki Deed Kab Ho Gi

Abhi Poocho Nahi Hum Say
Humari Eid Kab Ho Gi.

Be Niyaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jaana

Be Niyaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jaana
Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujh Say Juda Ho Jaana

Main Bhi Palkon Pay Sajaa Loon Ga Lahu Ki Boondein
Tum Bhi Paabasta-E-Zanjir-E-Hina Ho Jaana

Khalq Ki Sang_zani Meri Khataaon Ka Sila
Tum To Masoom Ho Tum Door Zaraa Ho Jaana

Ab Mere Waastey Tariyaq Hai Ilhad Ka Zahar
Tum Kisi Aur Pujaari K Khuda Ho Jaana.

Ek Ghazal Tere Liye Zarur Likhun Ga

Ek Ghazal Tere Liye Zarur Likhun Ga
Be'Hisab Us Main Tera Qasoor Likhun Ga

Tu Guftaar Ka MaHir Tu Kirdar Ka MaHir
Pr Husn ko Tere Tera Ghuroor Likhun Ga

Toot Gaye Bachpan K Tere SarE Khilony
Ab Dilon Se KheLna Tera Dastoor Likhun Ga

Raha Ishq Ka Da'awa Tujhe Tamam Umer
Wafa Ki Dehleez Se Tujhe Mafroor Likhun Ga

Khud-Sakhta Jo Hai Tera Judai Ka Faisla
Aise Hr Iqdaam Ko Na'Manzoor Likhun Ga

Humein Kehne Ki Aadat Nahi Likhne Ka ShouQ Hai
Jazbon Ko Apne QaLam Ki Taseer Likhun Ga

Tera Wajood, Mera Wajood, Mujhe Ek Sa Lage
Pr Tujhe Main Khud Se Bahut Door Likhun Ga.

Urdu Best Poetry,

Urdu Poetry,

Urdu Sad Poetry,

Abi Tum Beth Jao Na

Abi Tum Beth Jao Na
Bohat Si Baat Baqi Hai

Mere Halaat Baqi Hain
Abi Jazbaat Baqi Hain

Suno!

Tum Kyun Statey Ho
MujHhe Kitna Rulatey Ho

MujHhe Tum Se MoHabbat Hai
MujHhe Kyun Aazmatey Ho

TumHhi Ko Yad Krtey Hain
Tumhi Ko Pyar Krtey Hain

Meri To Zindgi Tum HHo
Smajh Tum Kyun Na Patey HHo

Meri To HHr Khushi Tum Se
Meri To Zindgi Tum Se

Meri Hr Aarzu Tum Se
Mujhe Tum Kyun Statey Ho.

Kabhi is nagar tujhey dekhna

Kabhi is nagar tujhey dekhna
kabhi us nagar tujhey dhoondna

Kabhi raat bhar tujhey sochna
kabhi raat bhar tujhey dhoondna

Mujhey ja baja teri justajoo
tujhey dhoondta hon mein koo ba koo

Kahaan khul saka teray roo-baroo
mera is qadar tujhey dhoondna

Mera khwaab tha k khyaal tha
wo urooj tha k zawaal tha

Kabhi arsh par tujhey dhoondna
kabhi farsh par tujhey dhoondna

Yahaan har kisi sey hi bair hai
Tera shehar qariya-e-ghair hai

Yahaan sehal bhi to nahi koi
meray be-khabr tujhey dhoondna

Teri yaad aayi to ro diya
jo tu mil gaya tujhey kho diya

Meray silsiley bhi ajeeb hain
tujhey Chodh kar tujhey dhoondna

Yeh meri nazar ka kamaal hai
key teri nazar ka jamaal hai

tujhey sheir sheir mein sochna
sar-e-baam-o-dar tujhey dhoondna.

Ab Teri Yaad Se Wehshat Nahi Hoti Mujhko

Ab Teri Yaad Se Wehshat Nahi Hoti Mujhko
Zakhm Khulte Hain Aziyat Nahi Hoti Mujhko

Ab Koi Aaye Chala Jaye Main Khush Rehta Hon
Ab Kisi Shaks Ki Aadat Nahi Hoti Mujhko

Aisa Badla Hoon Tere Shehar Ka Pani Pe Ker
Jhoot Bolon To Nadamat Nahi Hoti Mujhko

Hai Amanat Main Khayanat So Kisi Ki Khatir
Koi Marta Hai To Hairat Nahi Hoti Mujhko

Itna Masroof Ho0n Jeene Ki Hawas Main
Sans Lene Ki Bhi Fursat Nahi Hoti Mujhko.

Nazr e Muhabat ka kya Tawun Chahte Ho

Nazr e Muhabat ka kya Tawun Chahte Ho
DiL Chahte Ho Ya Jan Chahte Ho

Prwah Nahi Anjam-e-Mohabat Jo B Ho
Bas Ab FesLa Suna Do k Tum Kya Chahte Ho

PhoLon ki GaLi Ho Ya Ho Kanto ki Dagar
Le Jao Sanam Wahan Jahan tum Chahte Ho

BeHis Agr Tum Nahi to Khamosh Q Ho
Le lo dil Le lo jan
Ab btao aur kya chahte ho.

Usse Bakhshi Hai Dil Par Hukmarani Or Keya Dete

Usse Bakhshi Hai Dil Par Hukmarani Or Keya Dete
Bas Yehi Thi Hamari Raajdhaani Or Keya Dete

SitaarOn Se Kisi K Muqaddar Bharna tO Ik Fasana Hai
Us K Naam Likh Di Zindgaani Bas Or Keya Dete

Bicharrte Waqt Us kO Ik Na Ik TOhfa tO Dena Tha
Hamare Pas Tha AankhOn Mein Pani Or Keya Dete.

Pagal Si Ek Ladki Hai Har Pal Wo Mujh Ko Takti Hai

Pagal Si Ek Ladki Hai
Har Pal Wo Mujh Ko Takti Hai,

Aankh Main Uss Ki Masti Hai
Wo Baat Baat Pe Hansti Hai,

Har Roz Wo Roop Badalti Hai
Har Roop Main Achi Lagti Hai,

Es Dil Main Aag Bharakti Hai
Jab Meri Taraf Wo Barti Hai,

Deedar Ko Deed Tarasti Hai
Fursat Main Aankh Barasti Hai,

Wo Jab Bhi Mujh Se Milti Hai
Ye Zalim Duniya Jalti Hai,

Pyar Woh Mujh Se Karti Hai
Izhaar Se Laikin Darti Hai,

Pagal Si Ek Larki Hai
Har Pal Wo Mujh Ko Takti Hai.

Mujh Se Yeh Loog Kehty Hain, Heart Touching Urdu Ghzal, Urdu Sad Poetry, Dard e Dil Poetry, Heart Touching Pictures Poetry,

Mujh Se Yeh Loog Kehty Hain
Kahan Dil Chhor Aayi Ho

Bohat Chup Chaap Rehti Ho
Na Banti Ho Na Sanwarti Ho

Na Koi Baat Karti Ho
Bhari Mehfil Mian Aksar

Hamesha Khoyi Khoyi Rehti Ho
Uddasi Aankhon Main Lay Kar

Har Ek Chehray Ko Takti Ho
Koi Jab Yaad Aata Hay

To Thandi Aah Bharti Ho
To Khul Kar Kyun Nahi Kehti

Kisi Ko Yaad Karti Ho
Kisi Ko Yaad Karti Ho.

Heart Touching Urdu Ghzal, Urdu Sad Poetry, Dard e Dil Poetry, 
Heart Touching Pictures Poetry,

Chalo Phr Dhond Lein Hum Usi Masoom Bachpan ko,

Chalo Phr Dhond Lein Hum
Usi Masoom Bachpan ko
Unhi Masoom Khushion ko
Unhi Rangeen Lamhon ko
Jahan Gham ka Pata Na Tha
Jahan Dukh ki Samjh Na Thi
Jahan Bas Muskrahat Thi
Baharein Hi Baharein Thi
k
Jab Sawan Barasta Tha
To Us Kaghaz ki Kashti ko
Banana or Duba Dena
Bohat Acha Sa Lagta Tha
Or
Es Dunia Ka Har Chehra
Bohat Sacha Sa Lagta Tha
Chalo Phr Dhond Lete Hain
USI MASOOM BACHPAN KO.

Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry, Romantic Ghazal, Heart Touching Poetry, Romantic Pieture, Urdu Heart Touching Poetry, New Urdu Poetry, Urdu Shairy,

Abhi Is taraf na Nigah kar
Main Ghazal ki Palkein sanwar lu,

Mera lafz lafz ho Aaina
Tujhe Aainey mein utar lu,

Main tamam Din ka thaka hua
Tu tamam shab ka jaga hua,

Zara thehar ja isi Mor par
Terey saath Shaam guzaar lu,

Agar Aasman ki Numaishon mein
Mujhe be Izn-e-Qayam ho,

To Main motiyon ki dukaan se
Teri baliyan Terey haar lu,

Kai Ajnabi teri Raah ke
Merey paas se yun Guzar gaye,

Jinhe dekh kar ye tarap huyi
Tera Naam le kar Pukaar lu.

Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry, Romantic Ghazal, Heart Touching Poetry, 
Romantic Pieture, Urdu Heart Touching Poetry, New Urdu Poetry, Urdu Shairy,

Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho

Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho

Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho

Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho

Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho

Lakh mosam ki tarah rung badalte raho
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho.

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi

Din Raat Daudti Duniya Mein
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi

Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi

Saare Naam Mobile Mein Hain
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi

Gairon Ki Kya Baat Karen
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Aankhon Me Hai Neend Badee
Par Sone Ka Waqt Nahi

Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi

Paison ki Daud Me Aise Daude
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi

Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Tu Hi Bata E Zindagi
Iss Zindagi Ka Kya Hoga

Ki Har Pal Marne Walon Ko
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.

Ek BACHPAN ka Zamana tha

Ek BACHPAN ka Zamana tha
jisme Khushiyo ka khazana tha

Chahat Chaand ko pane ki thi
par DIL titli ka Diwana tha

Khabar na thi kuch Subah ki
Na Shaam ka thikana tha

Thak-har ke aana school se
Par khelne bhi jana tha

Maa ki kahani thi
Pariyo ka fasana tha

Barish me kagaz ki naav thi
Har Mausam suhana tha

Har khel me Sathi the
Har Rishta nibhana tha

Gam ki zuban na hoti thi
Na zakhmo ka paimana tha

Rone ki wajah na thi
Na hasne ka bahana tha

Kyon Ho gaye hum itne bade
isse achha to
"Wo Bachpan ka Zamana tha".

Mayoos mat hona yeh ek gunnah hota hai

Mayoos mat hona yeh ek gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai

Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai

Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain
Kuch paa lene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai

Har aik ko kasoorwar kyun tehrayein hum
Apne samne bhi tou aik aaina hota hai

Hum apni zindagi se kyun haar jayein
Agar doobta hai sooraj to sawera bhi to hota hai,

Main Apni Raton Ki Fursaton Me

Main Apni Raton Ki Fursaton Me
Tujhy Manaon To Maan Jana

Agar Kisi Din Main Apny Ansu
Jo Le K Aaon To Maan Jana

Ye Ek diL Hi Tumhy Dia Tha
So Is Ko Tum Ne Hi Tor DaLa

Shikasta DiL Ki Jo Kirchion Ko
Smet Laon To Maan Jana

Tu Khush Nhi Hai Meri
BaQa Per To Sirf Itna Bata

Teri Khushi K Liye Jo SooLi Pe
Muskraon To Maan Jana

Tu Badguman Hai Meri Wafa Pr
To Sirf Aik Bar Azma Le

Jo Haar Jaon To LouT Jana
Jo Jeet Jaon To Maan Jana.

Ek Ajeeb Si Paheli Hai Zindgi

Ek Ajeeb Si Paheli Hai Zindgi
Sab K Sath Hote Hue bhi

Akeli Hai Zindgi Kabhi To Ek Pyara Sa
Arman Hai Zindgi To Kabhi Dard Se Bhara

Tufaan Hai Zindgi Kabhi Phulon Jesi Masoom
Ho Jati Hai Zindgi To Kabhi Gunahon Ka Bojh

Ban Jati Hai ZindgiKoi To Bata De Mujhe Kya Hai Zindgi

Suna Hai Chnd Roz Ki Mehman Hai Zindgi
Zindgi Ko Chhor Kar Ek Din Jaana Parega

Maut Ko us Pal Galay Lagana Parega

Zindgi Se Chahe Jitna Piyar Kr Lo
Hoti to akhir bewafa hai Zindgi.

Kabhi Ye Weham Ki Wo Mera Hai Sirf Mera

Kabhi Ye Weham Ki Wo Mera Hai Sirf Mera
Kabhi Ye Dar Ki Wo Mujh Se Juda To Nahin

Kabhi Ye Dua Ki Use MiL JaE Sari Jahan Ki Khushiyaan
Kabhi Ye Khof Ki Wo Khush Mere Bina To Nahin

Kabhi Ye Tamnna Ki Bas Jaoon Us Ki Nigahoon Mein
Kabhi Ye Dar Ki Us Ki Aankhoon Ko Kisi Ne Dekha To Nahin

Kabhi Ye Khawahish Ki Zamana Kare Tarif Us Ki
Kabhi Ye Veham Ki Wo Kisi Se MiLa To NaHiN

Kabhi Ye Aarzoo Ki Wo Jo Mange MiL JayE Use
Kabhi Ye Soch Ki Us Ne Mere Siwa Kuch Maanga To Nahin.

Urdu Poetry

Urdu Poetry,

Che Da Zrha Mi Lag Qalar She Khair Di Za Bia

Che Da Zrha Mi Lag Qalar She Khair Di Za Bia
Che Sahib Da Khpal Ikhtiar She Khair Di Za Bia

Da Kho Shpa Da Charta Ruk Nashi Pa Ruku
Da Chancharho Che Chaghar She Khair Di Za Bia

Yawi Khazi Tableghe Khawand Ta Owi
Da Bache Di Lag Da Kar She Khair Di Za Bia

Hasi Na Che Tash Lasuna Ao Khpi Rashi
Pekhawar Da Aman Khaar She Khair Di Za Bia

Khairatuna Khana Sa La Owrhi Khaar Ta
A Marha Da Kale Naar She Khair Di Za Bia

Mata Dashto Ki Azghu Chandara Owi
Da Laman Di Tar Pa Tar She Khair Di Za Bia.

Pashto Poetry, Pashto Sadest poetry, Pashto Sad Poetry Ever, Latest Pashto Poetry, New Pashto Poetry, Heart Touching Pashto Poetry,

Ma da khpl peer na os da mene lasnewa kare da
Malgaro bas dy d nafrat na me toba kare da

Zaka os za pa khpl jumat khple hujra yaregam
Cha zalimano pa kaltur rala hamla kare da

Bya Pukhtane jazbe pa zehan ra khware shwe zama
Da khpl Zameer sara me dagha Mashwara karida

Os me da cha Musalmanai bandi bawar na raazi
Dlta kho dero da Mazhab pa noom dhoka kari da

Janan ta sta da muhabat ihsas ba wr she akhir
ATALA ta wrsara meena PUKHTANA kari da.

Pashto Ghazal Poetry, Pashto Heart Touching Ghazal Poetry, Heart Touching Poetry, Sadest Picture Poetry,

Rasha da toree shpe tor tama che lag khob okama
Las rana taw ka da yar ghama che lag khob okama

Mung da bakhmalu da malmalu da khob na u adat
Sar ta kha klaka gatta gdama che lag khob okama

Ma warta dere shpe saba kre kho goya me na ko
Daa tasveran de nor sezama che lag khob okama

Dalta da khaar pa rangeno ke rala khob na raze
Bas dy nor kalee ta darzama che lag khob okama.

Pashto Poetry, Pashto Heart Touching Poetry, Heart TOuching Poetry, Romantic Pashto Poetry, Sad Picture Poetry,

Da Zra pa shondoo ba e khkul krama janan ba e kraam
Wrta ba dumraa meena wrkraam che hairaan ba e krm

Da janan meeni ka me weena rana waghokhtala
Ay! Da wajood weeni qasam de wr baran ba de krm.

Romantic Pashto Poetry, Romantic Picture Poetry, Pashto Heart Touching Poetry, Pashto Lover Poetry,

Sta da makh pa tamasha shwam ketabona rana her sho
Cha de stargo ke laho khram sharabona rana her sho,

Ma way zar ba sta la zulfo da sparle gulona zar kram
Che pa sro shondo musky shwe gulabona rana her sho.

Eid Greethings Cards, Greething Cards, Latest Eid Card, Eid Mubbarak, Eid Greethings, Happy Eid, Eid Cards, New Eid Cards,

Eid Greethings Cards, Greething Cards, Latest Eid Card, Eid Mubbarak, 
Eid Greethings, Happy Eid, Eid Cards, New Eid Cards,

Ishq Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, Urdu images Poetry, Urdu Poetry,

Rishwat bhi nahi laytha kambakhth jaan chorrnay ki
Ye ISHQ mujhay bhoht imandar lagtha hay.