Kabhi is nagar tujhey dekhna
kabhi us nagar tujhey dhoondna
Kabhi raat bhar tujhey sochna
kabhi raat bhar tujhey dhoondna
Mujhey ja baja teri justajoo
tujhey dhoondta hon mein koo ba koo
Kahaan khul saka teray roo-baroo
mera is qadar tujhey dhoondna
Mera khwaab tha k khyaal tha
wo urooj tha k zawaal tha
Kabhi arsh par tujhey dhoondna
kabhi farsh par tujhey dhoondna
Yahaan har kisi sey hi bair hai
Tera shehar qariya-e-ghair hai
Yahaan sehal bhi to nahi koi
meray be-khabr tujhey dhoondna
Teri yaad aayi to ro diya
jo tu mil gaya tujhey kho diya
Meray silsiley bhi ajeeb hain
tujhey Chodh kar tujhey dhoondna
Yeh meri nazar ka kamaal hai
key teri nazar ka jamaal hai
tujhey sheir sheir mein sochna
sar-e-baam-o-dar tujhey dhoondna.
No comments:
Post a Comment