Ek BACHPAN ka Zamana tha


Ek BACHPAN ka Zamana tha
jisme Khushiyo ka khazana tha

Chahat Chaand ko pane ki thi
par DIL titli ka Diwana tha

Khabar na thi kuch Subah ki
Na Shaam ka thikana tha

Thak-har ke aana school se
Par khelne bhi jana tha

Maa ki kahani thi
Pariyo ka fasana tha

Barish me kagaz ki naav thi
Har Mausam suhana tha

Har khel me Sathi the
Har Rishta nibhana tha

Gam ki zuban na hoti thi
Na zakhmo ka paimana tha

Rone ki wajah na thi
Na hasne ka bahana tha

Kyon Ho gaye hum itne bade
isse achha to
"Wo Bachpan ka Zamana tha".

No comments:

Post a Comment