Chalo Phr Dhond Lein Hum Usi Masoom Bachpan ko,

 
Chalo Phr Dhond Lein Hum
Usi Masoom Bachpan ko
Unhi Masoom Khushion ko
Unhi Rangeen Lamhon ko
Jahan Gham ka Pata Na Tha
Jahan Dukh ki Samjh Na Thi
Jahan Bas Muskrahat Thi
Baharein Hi Baharein Thi
k
Jab Sawan Barasta Tha
To Us Kaghaz ki Kashti ko
Banana or Duba Dena
Bohat Acha Sa Lagta Tha
Or
Es Dunia Ka Har Chehra
Bohat Sacha Sa Lagta Tha
Chalo Phr Dhond Lete Hain
USI MASOOM BACHPAN KO.

No comments:

Post a Comment