Mayoos mat hona yeh ek gunnah hota hai


Mayoos mat hona yeh ek gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai

Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai

Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain
Kuch paa lene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai

Har aik ko kasoorwar kyun tehrayein hum
Apne samne bhi tou aik aaina hota hai

Hum apni zindagi se kyun haar jayein
Agar doobta hai sooraj to sawera bhi to hota hai,

No comments:

Post a Comment