Wo khushboo bhejha kerti thi main nazmein likhta rehta tha
Wo hass ke ujaala kerti thi , main subhein likhta rehta tha
Geeli rait pe sahil ki doobtay sooraj ke hamraah
Wo chup si chalti rehti thi, main sochein likhta rehta tha
deep wafa ke hotay thay ya shayad 2 taaray thay
wo mujh ko dekha kerti thi main aankhein likhta rehta tha
tapti dhoop ka rung bhi to phoolon sa ho jata tha
wo zulfen khola kerti thi main shaamein likhta rehta tha
toot ker aksar chahat mein, rooth ker yunhi ulfat mein
wo mujh ko jeeta kerti thi main maatein likhta rehta tha
misl-e-khoon wo rag rag mein ban ke zeesht hi behti thi
mere jeenay ki wo wajah thi main saansein likhta rehta tha
dono ki pehli chahat thi, dono toot ke miltay thay
wo waaday kerti rehti thi main qasmein likhta rehta tha
rasm-e-dunia ne aakhir hum ko bhatka dena tha
wo manzil dhoonda kerti thi, main raahein likhta rehta tha
chand din jab aa thehray thay uski meri judai mein
main uske haath pe pehron phir lakeerein likhta rehta tha
jaa'n se pyaray se shikwa khud ko ruswa kerna tha
main apnay honton pe chup ki bus mohrein likhta rehta tha
din mein dard ki shidat ko hass ker main seh jata tha
per bin uskay jo kat'ti thi wo raatein likhta rehta tha
guzri yaad ke sab lamhay dil ko cheer ke rakhtay thay
main gumnaami ke sehra mein haan ghaatein likhta rehta tha
uss bin mann ka aangan phir khaali khaali rehta tha
main tanhai ke haathon per aah maatein likhta rehta tha
dasht-e-wafa mein basnay ka dekh haasil aey Sehranaward
main yaadein likhta rehta hoon, main yaadein likhta rehta tha.
Heart Touching Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,
Urdu Ghazal Poetry, Urdu Poetry,
No comments:
Post a Comment