Qalam Dil Mein Dubota Hoon Chand Lafzo'n Ko Likhta Hoon

Qalam Dil Mein Dubota Hoon Chand Lafzon Ko Likhta Hoon
Jo Baatein Dil pe Lagti Hain Unhi Baato'n Ko Likhta Hoon
Main Shayir Hoon Meri Veeraniyaan Jab Hadd Se Baddhti Hain
Usi Lamhe Dhuaa'n Utthta Hai Aur Aaho'n Ko Likhta Hoon
Main Lafzo'n Ko Nahi Ehsaas Ko Tahreer Karta Hoon
Na Ghazlo'n Ko Na Nazmo'n Ko Faqat Jazbo'n Ko Likhta Hoon
Kabhi Tanha Jo Hota Hoon Takhayyul Mein Bhi Rahta Hoon
Puraane Dard Ke Lamhe Nayi Socho'n Ko Likhta Hoon
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai Shab Bhar Jaagta Hoon Main
Jo Dilse Munsalik Rahti Hain Un Yaado'n Ko Likhta Hoon
Lahoo Dilse Nikalta Hai Kaleja Munh Ko Aata Hai
Kisi Ko Kya Khabar Jab Bhi Kabhi Ghazlo'n Ko Likhta Hoon.

No comments:

Post a Comment