Pakiza mohabbat ko gunah-gar na karna

Pakiza mohabbat ko gunah-gar na karna
tum pyaar to karna magar izhaar na karna
qurbani ka jazba tumhe virsey mein mila hai
wo jaan bhi agar mangey tou inkaar na karna
suraat sey bari cheez hai mehboob ki seerat
aawara hawa'un sey kabhi pyaar na karna
aashko'n mein na beh jayen kahin gham ka khazana
soowey hoye toofa'n ko be-daar na karna.

No comments:

Post a Comment