Main sun k uski sub batain

Main sun k uski sub batain
Faqat itna hi kehta tha
Khafa hona mana laina
Yeh sadiyon say riwayat hay
Gilay shikway karo mujh say
Tumhain janan ijazat hay
Magar ik baat meri bhi
Tum yaad rakh laina
Kabhi aisa bhi hota hay
Hawa'ain rukh badalti hain
Khata'ain ho hi jati hain
Khafa hona bhi mumkin hay
Khata hona bhi mumkin hay
Hamaisha yaad rakhna tum
Ta'aluq toot janay say
Kabhi toota nahin kertay.

No comments:

Post a Comment