Jab tera hukum mila, tark-e- muhabbat kar di

Jab tera hukum mila, tark-e- muhabbat kar di 
dil magar is pe wo dharhka k qayaamat kar di
tujh sey kis tarah main izhaar-e-Muhabbat karta
lafz soojhaa to ma'ani ney baghawat kar di 
main to samajha tha k laut atae hain jaane waley
tuu ne ja kar to judayee meri qismat kar di
mujh ko dushman k iraadon per bhi pyar ata hey
teri ulfat ne muhabbat meri adat kar di
poch betha hoon main tujh sey tere koochae ka pata
tere halaat ne kaisi teri soorat kar di
kia tera jism, tere husn ki hiddat main jala
raakh kisne teri sonae ki si rangat kr di.



No comments:

Post a Comment